kitne jumle hain ki jo ru-posh hain yaron ke bich 
hum bhi mujrim ki tarah KHamosh hain yaron ke bich 
kya kahen kis ne bahaaron ko KHizan-saman kiya 
dekhne mein to sabhi gul-posh hain yaron ke bich 
ye bhi sach hai ghar ke bhedi ne kiya ghar ko tabah 
ye bhi lagta hai ki sab nirdosh hain yaron ke bich 
kya pata kab KHun ka pyasa yahan ho jae kaun 
yun to kahne ko sabhi mai-nosh hain yaron ke bich 
han chala ab saqiya jadu bhari nazron ke tir 
hum bhi dekhen kis qadar zi-hosh hain yaron ke bich 
bazm-e-yaran hai ye saqi mai nahin to gham na kar 
kitne hain jo mai-kada bar-dosh hain yaron ke bich 
'tarz' paDhta hai koi jab jhum kar nazm o ghazal 
aisa lagta hai 'firaq' o 'josh' hain yaron ke bich
        Ghazal
Kitne jumle hain ki jo ru-posh hain yaron ke bich
Ganesh Bihari Tarz

