اردو हिंदी
Kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae | Shaahi Shayari
kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae

Ghazal

Kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae

Syed Ahmed Shameem

;

kitne jug bit gae phir bhi na bhula jae
main jahan jaun mere sath wo chehra jae

raat ab lauT chali nind se jaga jae
apne khoe hue suraj ko pukara jae

ye damakte hue ruKHsar chamakti aankhen
zindagi kar chuke ab Dub ke dekha jae

ab ke tufan mein ho jae na reza reza
jism ki TuTti diwar ko thama jae

mohtasib shahr mein mizan liye phirte hain
hum gunahgar hain is shahr se bhaga jae

apne hi dil mein kabhi jhank ke dekho mujh ko
main koi raaz nahin hun jise samjha jae

le ke shishe mein chalo aatish-e-sayyal 'shamim'
qazi-e-shahr ke iman ko parkha jae