اردو हिंदी
Kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe | Shaahi Shayari
kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe

Ghazal

Kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe

Zia Jalandhari

;

kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe
mawara the jo nazar se wo nazare dekhe

parde uThte gae aankhon se to rafta rafta
barg-e-gul barf mein patthar mein sharare dekhe

dil pe us waqt khula hausla-e-gham ka jamal
apne har rang mein jab rup tumhaare dekhe

aasare jate rahe aas abhi baqi hai
pau bhi phuTegi jahan Dubte tare dekhe

dil ko KHun karne ki hasrat ho use bhi shayad
sahab-e-sada agar rang hamare dekhe

KHub-o-na-KHub mein kya farq karen hum ki yahan
jab hawa palTi to muDte hue dhaare dekhe

mujhe is bazm mein kahna to bahut kuchh tha 'ziya'
bujh gae lafz jab aankhon ke ishaare dekhe