kitne hue hain KHun yahan ek usul ke
aaenge ab na shahr-e-tamanna mein bhul ke
sari musafirat ki thakan dur ho gai
pesh aae kitne pyar se kanTe babul ke
chehre hue jo gard to aaina ban gae
kya turfa moajizat the sahra ki dhul ke
kitna hasin tha jurm-e-gham-e-dil ki do-jahan
dar pe hain aaj tak mere rang-e-qubul ke
nazan hai zindagi meri ab un ki maut par
jo log rah gae teri bahon mein jhul ke
aane ko thi bas aaKHiri hichki mariz ko
qurban jaiye teri shan-e-nuzul ke
ai 'dil' ye haal ishq mein hoga KHabar na thi
pachhtae hum to rog laga kar fuzul ke
Ghazal
Kitne hue hain KHun yahan ek usul ke
Dil Ayubi