kitne hi tir KHam-e-dast-o-kaman mein honge
jin ke sofar abhi se meri jaan mein honge
dil hai ab KHana-e-aseb-zada ki surat
zaKHm rauzan isi tarik makan mein honge
ek hum hi nahin sar mein liye sauda-e-wafa
aur bhi kitne mohabbat ke guman mein honge
sirf tere lab-o-ruKH ki nahin taswir-e-chaman
mere bhi gham ke kai rang KHizan mein honge
laDkhaData hua aaya hai mizha tak aansu
raste kaise dil-e-dard-nishan mein honge
bar-mahal hai tah-e-ashjar hawa ka nauha
kal ke ghunche bhi isi dasht-e-ziyan mein honge
hai KHad-o-KHal ka ambar yahan har chehra
hum wo honge jo na KHud apne guman mein honge

Ghazal
Kitne hi tir KHam-e-dast-o-kaman mein honge
Tauseef Tabassum