اردو हिंदी
Kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae | Shaahi Shayari
kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae

Ghazal

Kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae

Khurshid Ahmad Jami

;

kitne hi fasane yaad aae kitne hi sahaare yaad aae
tufan ne banhen phaila din jis waqt kinare yaad aae

diwar se lag kar sochon ki ummid ka sara din guzra
jab raat hui to hum ko bhi sab KHwab hamare yaad aae

paiman-e-wafa ke sine se phir aaj lahu Tapka 'jami'
jo rah mein thak kar baiTh gae ahbab wo sare yaad aae