kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain
azm-e-zindagi le kar phir bhi log chalte hain
karwan ke chalne se karwan ke rukne tak
manzilen nahin yaro raste badalte hain
mauj mauj tufan hai mauj mauj sahil hai
kitne Dub jate hain kitne bach nikalte hain
mehr-o-mah-o-anjum bhi ab asir-e-geti hain
fikr-e-nau ki azmat se roz-o-shab badalte hain
bahr-o-bar ke sine bhi zist ke safine bhi
tirgi nigalte hain raushni ugalte hain
ek bahaar aati hai ek bahaar jati hai
ghunche muskuraate hain phul hath malte hain

Ghazal
Kitne dip bujhte hain kitne dip jalte hain
Sahba lakhnavi