kitne dar wa hain kahin aankh milaen to sahi
is nae shahr se kuchh rabt baDhaen to sahi
kisi KHushbu ke taaqub mein chalin gam-do-gam
dhyan mein chandni ka shahr basaen to sahi
kuchh to kahti hai sar-e-sham samundar ki hawa
kabhi sahil ki KHunuk ret pe jaen to sahi
kya KHabar oT mein hon us ki manazir kya kya
apne pindar ki diwar giraen to sahi
dil ke auraq pe ab taza hikayat likhen
nae lamhon mein naya KHun rachaen to sahi
apne bikhre hue zarron ko sameTen phir se
bazm phir raqs-e-tamanna ki sajaen to sahi
'sham' ye raushni ye rang ke phaile hue jal
ek zara un ke tilismat mein aaen to sahi
Ghazal
Kitne dar wa hain kahin aankh milaen to sahi
Mahmood Shaam