اردو हिंदी
Kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya | Shaahi Shayari
kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

Ghazal

Kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya

Rafiquzzaman

;

kitna poshida hawaon ka safar rakkha gaya
aane wale mausamon se be-KHabar rakkha gaya

aaj bhi phirta hun us ki justuju mein har taraf
kaun si basti mein aaKHir mera ghar rakkha gaya

chand mubham KHwab aankhon mein liye phirta hun main
aur kya mere liye zad-e-safar rakkha gaya

doston mein kuchh meri pahchan to baqi rahe
is liye mujh mein ajab rang-e-hunar rakha gaya

us hatheli par chamakti ret ke zarre hain ab
jis hatheli par kabhi ganj-e-guhar rakha gaya

nok-e-neza par kabhi tasht-e-raunat mein kabhi
har tamashe ke liye mera hi sar rakkha gaya

mera apna KHauf hi kya kam tha lekin ai 'rafiq'
meri apni zat mein kis kis ka Dar rakkha gaya