kitna muKHtasar hai ye zindagi ka afsana
ek gam-e-mardana ek raqs-e-mastana
tu hi ek shaki hai zauq-e-tishna-kaami ka
gharq-e-mauj-e-sahba hai jabki sara mai-KHana
bas yahi hai le de ke duri-e-rah-e-manzil
do qadam dilerana do qadam shitabana
haq tujhe hai kya hasil zer-e-charKH jine ka
hadsat-e-alam se tu agar hai begana
dil nahin wo sine mein ek sang-e-KHara hai
ho na jis mein poshida aah-e-dard-mandana
ye bhi ek dhoka hai dida-e-ghalat-bin ka
warna kaun diwana aur kaun farzana
gah gah laDta rah aql-e-maslahat-bin se
gah gah leta ja hath mein bhi paimana
Ghazal
Kitna muKHtasar hai ye zindagi ka afsana
Amjad Najmi