kitna kamzor hai iman pata lagta hai
ghar mein aaya hua mehman bura lagta hai
main ne honTon pe tabassum to saja rakkha hai
gham bhulane mein magar waqt baDa lagta hai
aap bekar mujhe shajara dukhane aae
aap jo bhi hain wo lahje se pata lagta hai
jab milata hun nazar to nahin milti nazren
jab haTata hun nazar us ko bura lagta hai
titliyan ban gain phir aaj wafadar kai
bagh mein koi naya phul khila lagta hai
yun gham-e-hijr ko duniya se chhupata hun magar
kitna kamzor hun aankhon se pata lagta hai
Ghazal
Kitna kamzor hai iman pata lagta hai
Ehya Bhojpuri