اردو हिंदी
Kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi | Shaahi Shayari
kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi

Ghazal

Kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi

Waseem Barelvi

;

kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi
tujh se hi fasla rakhna tujhe apnana bhi

kaisi aadab-e-numaish ne lagain sharten
phul hona hi nahin phul nazar aana bhi

dil ki bigDi hui aadat se ye ummid na thi
bhul jaega ye ek din tera yaad aana bhi

jaane kab shahr ke rishton ka badal jae mizaj
itna aasan to nahin lauT ke ghar aana bhi

aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi

KHud ko pahchan ke dekhe to zara ye dariya
bhul jaega samundar ki taraf jaana bhi

jaanne walon ki is bhiD se kya hoga 'wasim'
is mein ye dekhiye koi mujhe pahchana bhi