kitna ajib-tar hai ye rabt-e-zindagani
hasti tamam shola aalam tamam pani
jalwe yahi rahenge nazren yahi rahengi
baqi hai aur rahega ye irtibaat-e-fani
hai ek zaban-e-ulfat har paikar-e-mohabbat
aansu bhi tarjumani gesu bhi tarjumani
ek lamha-e-tabassum wo lamha-e-nazar hai
jis par koi luTa de ek umr-e-jawedani
phulon ko taulna hai kanTon se khelna hai
dil ki nazakaton mein un ki mizaj-dani
gham zindagi hai lekin shaer 'nushur' tera
naghmon se khelta hai jab tak hai zindagani
Ghazal
Kitna ajib-tar hai ye rabt-e-zindagani
Nushur Wahidi