kitna ajib shab ka ye manzar laga mujhe
taron ki saf mein chand suKHnawar laga mujhe
socha to ham-safar mujhe tanhaiyan milin
dekha to aasman bhi sar par laga mujhe
tujh se bichhaD ke ye meri aankhon ko kya hua
jis par nazar paDi tera paikar laga mujhe
ye kis ne aa ke shahr ka naqsha badal diya
dekha hai jis kisi ko wo be-ghar laga mujhe
simTa tera KHayal to dil mein sama gaya
phaila to is qadar ki samundar laga mujhe
'bismil' wo meri jaan ka dushman to tha magar
kyun puri kaenat se behtar laga mujhe
Ghazal
Kitna ajib shab ka ye manzar laga mujhe
Bismil Aghai