اردو हिंदी
Kitaben jab koi paDhta nahin tha | Shaahi Shayari
kitaben jab koi paDhta nahin tha

Ghazal

Kitaben jab koi paDhta nahin tha

Azhar Inayati

;

kitaben jab koi paDhta nahin tha
faza mein shor bhi itna nahin tha

ajab sanjidgi thi shahr bhar mein
ki pagal bhi koi hansta nahin tha

baDi masum si apnaiyat thi
wo mujh se roz jab milta nahin tha

jawanon mein tasadum kaise rukta
qabile mein koi buDha nahin tha

purane ahd mein bhi dushmani thi
magar mahaul zahrila nahin tha

sabhi kuchh tha ghazal mein us ki 'azhar'
bas ek lahja mere jaisa nahin tha