kitab-e-zindagi ki jadwalon mein rang hum se hai
sahifa aarzu ka sar-ba-sar arzhang hum se hai
dil-e-shabnam pe rakkha hai hamin ne dast-e-gham-KHwari
darun-bini harif-e-afsar-o-aurang hum se hai
hamare hauslon se nur le le gulsitan jab tak
sahar ka qafila pichhe kai farsang hum se hai
ulajhta hai ba-zahir har chaman se har KHarabe se
magar dar-parda tufan-e-bala ki jang hum se hai
tasadum ki bhi jurat TuTne ki bhi hamein himmat
waqar-e-shisha hum se hai ayar-e-sang hum se hai
KHizan mein bhi raha 'kausar' shagufta hausla apna
bahaar-e-naghma saz-e-dard ka aahang hum se hai
Ghazal
Kitab-e-zindagi ki jadwalon mein rang humse hai
Kausar Jayasi