اردو हिंदी
Kisu ko mujhse ne mujhko kisu se kaam rahta hai | Shaahi Shayari
kisu ko mujhse ne mujhko kisu se kaam rahta hai

Ghazal

Kisu ko mujhse ne mujhko kisu se kaam rahta hai

Meer Asar

;

kisu ko mujh se ne mujh ko kisu se kaam rahta hai
mere dil mein siwa tere KHuda ka nam rahta hai

kuchh in rozon dil apna saKHt be-aram rahta hai
isi haalat mein le kar subh se ta-sham rahta hai

kaleja pak gaya hai kya kahun is dil ke hathon se
hamesha kuchh na kuchh is mein KHayal-e-KHam rahta hai

bayan main kya karun us se ab aage apni nakaami
tere ye taur aur mujh ko tujhi se kaam rahta hai

bala jaane 'asar' dauran ye kidhar charKH mare hai
hamari bazm mein din raat daur-e-jam rahta hai