kisi zalim ki jite-ji sana-KHwani nahin hogi
ki dana ho ke mujh se aisi nadani nahin hogi
dil-e-abaad ka sa koi shahr aabaad kya hoga
dil-e-viran ki si koi virani kahan hogi
adu se kya gila karna ki wo mazur lagta hai
hamari qadr-o-qimat us ne pahchani nahin hogi
nujumi mein nahin lekin ye andaze se kahta hun
mohabbat to rahegi par ye arzani nahin hogi
ilaj-e-asl hai ek aazmuda nusKHa duniya mein
pareshan tum rahoge to pareshani nahin hogi
khula darwaza rakh chhoDa hai jab ji chahe aa jaana
aji ab hum se apne ghar ki darbani nahin hogi
na tum aae to 'sabir' kya maza aaega mahfil mein
ghazal-KHwani to hogi par gul-afshani nahin hogi
Ghazal
Kisi zalim ki jite-ji sana-KHwani nahin hogi
Sabir Afaqi