kisi train ke niche wo kaT gaya hota
ghubar-e-rah-e-tilismat chhaT gaya hota
chalo ye achchha ki chandan badan se dur rahe
main sanp ban ke kamar se lipaT gaya hota
kisi ke hijr mein itni ghuTan se behtar tha
hawa mein surat-e-ghubara phaT gaya hota
hua ki Dher si ashiya se bhar gaya daman
ai kash zarra-e-neki bhi aT gaya hota
zaban aati to uslub koi gaDh leta
use paTana nahin tha wo paT gaya hota
Ghazal
Kisi train ke niche wo kaT gaya hota
Shamim Qasmi