kisi taur ho na pinhan tera rang-e-ru-siyahi
wo sab aankhen bujh chuki hain ki jo den meri gawahi
ho nasib har kisi ko kahan manzil-e-mohabbat
ki ujaDti jaen rahen ki bikharte jaen rahi
tere nur par fida hun magar is qadar fida hun
mujhe dekh hi na pae ye jahan ki kam-nigahi
main jo aah bhar raha hun tujhe yaad kar raha hun
ki tere baghair main ne kabhi zindagi na chahi
koi yaad ham-nafas ho jo mere liye qafas ho
ki azal se jis tarah hai ye jahan-e-ab-o-mahi
yahi zindagi gulistan yahi zindagi hai zindan
isi zindagi se main ne yunhi dosti nibahi
sar-e-sham luT chuka hun sar-e-am luT chuka hun
ki Dakait ban chuke hain kai shahr ke sipahi

Ghazal
Kisi taur ho na pinhan tera rang-e-ru-siyahi
Sabir Zafar