اردو हिंदी
Kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun | Shaahi Shayari
kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

Ghazal

Kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

kisi tarah din to kaT rahe hain fareb-e-ummid kha raha hun
hazar-ha naqsh aarzu ke bana raha hun miTa raha hun

wafa meri mo'tabar hai kitni jafa wo kar sakte hain kahan tak
jo wo mujhe aazma rahe hain to main unhen aazma raha hun

kisi ki mahfil ka naghma-e-nai moharrik-e-nala o fughan hai
fasana-e-aish sun raha hun fasana-e-gham suna raha hun

zamana bhi mujh se na-muwafiq main aap bhi dushman-e-salamat
tajjub is ka hai bojh kyunkar main zindagi ka uTha raha hun

na ho mujhe justuju-e-manzil magar hai manzil meri talab mein
koi to mujh ko bula raha hai kisi taraf ko to ja raha hun

yahi to hai nafa koshishon ka ki kaam sare bigaD rahe hain
yahi to hai faeda hawas ka ki ashk-e-hasrat baha raha hun

KHuda hi jaane ye sada-lauhi dikhaegi kya natija 'wahshat'
wo jitni ulfat ghaTa rahe hain usi qadar main baDha raha hun