اردو हिंदी
Kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha | Shaahi Shayari
kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha

Ghazal

Kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha

Bismil Allahabadi

;

kisi tarah bhi kisi se na dil lagana tha
KHayal-e-yar mein duniya ko bhul jaana tha

jo be-ruKHi thi yahi ruKH nahin chhupana tha
mere KHayal mein bhi aap ko na aana tha

isi sabab se wo parde mein chhup ke baiThe hain
ki parde parde mein kuchh un ko rang lana tha

azal se ruh jo phunki gai hai zarron mein
to ye samajh lo ki jalwa use dikhana tha

zamana khinch ke pahunchta hai apne markaz par
zarur daera-e-zindagi mein aana tha