kisi taraf jaane ka rasta kahin nahin
aisa ghor andhera dekha kahin nahin
kis zalim ne par peDon ke kaT diye
aag ugalti dhup mein saya kahin nahin
tishna ruh ki pyas bujhane pahunche the
dariya mein bhi pani paya kahin nahin
kanch ki surat sare sapne TuT gae
chham se barasne baadal aaya kahin nahin
mahfil mahfil 'azhar' umr guzari hai
hum sa lekin tanha tanha kahin nahin
Ghazal
Kisi taraf jaane ka rasta kahin nahin
Zameer Azhar