kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun
tasawwur hun kahin apna Thikana chahta hun
mujhe tahsin ki jab koi KHwahish hi nahin hai
to apne sher kyun tujh ko sunana chahta hun
mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai
tujhe ai zindagi main walihana chahta hun
isi KHatir to ye sinf-e-suKHan main ne chuni hai
ki jo mahsus karta hun batana chahta hun
mere in KHushk honTon ko zara namnak kar de
main apni pyas ki shiddat chhupana chahta hun
tabhi to 'shad' palkon par saja rakkha hai un ko
main apne KHwab duniya ko dikhana chahta hun
Ghazal
Kisi taKHliq ke paikar mein aana chahta hun
Khushbir Singh Shaad