kisi surat to dil ko shad karna
hamein dushman samajh kar yaad karna
duaen denge chhuT kar qaidi-e-zulf
jahan tak ho sake aazad karna
kahin wo aafrin aisa paDe hath
na mujh par rahm o jallad karna
masihai dikhana baad-e-murdan
jo dil chahe to kuchh irshad karna
uDa do KHak meri Thokaron se
agar manzur hai barbaad karna
adab sikhe nahin hun nau-giraftar
bata kar qaede bedad karna
maza tha bebasi ki galiyon mein
isi bhule sabaq ko yaad karna
bahut mushkil hai in sangin-dilon se
KHayal-e-KHatir-e-nashad karna
janaza uTh chuke mera to tum bhi
ada rasm-e-mubarak-baad karna
'nasim'-e-KHasta-dil ne jaan de di
ghazab laya tera bedad karna
Ghazal
Kisi surat to dil ko shad karna
Naseem Dehlvi