اردو हिंदी
Kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida | Shaahi Shayari
kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida

Ghazal

Kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida

Munawwar Lakhnavi

;

kisi surat se ho jata hai saman-e-safar paida
irada kar hi leta hai KHud apni rahguzar paida

gunahgari ki niyyat ko gunahgari nahin kahte
safar ke qasd se hoti hai kab gard-e-safar paida

zaruri kya ki barse aag upar se nasheman par
KHas-o-KHashak mein ho jaenge barq-o-sharar paida

koi pursan-e-gham ho ya na ho kya farq paDta hai
aziyyat KHud hi kar leti hai apna chaara-gar paida

'munawar' mujh pe sham-e-yas ghaalib aa nahin sakti
ki har ummid se hota hai ek rang-e-sahar paida