kisi shai par bhi iKHtiyar nahin
zist mein kuchh bhi paedar nahin
ye bhi hai moajiza mohabbat ka
gham kai koi gham-gusar nahin
main ne duniya nisar ki jis par
mujh pe us ko hi eatibar nahin
sare matlab ke rishte-nate hain
koi rishta bhi ustuwar nahin
har ghaDi be-qarar rahta hai
dil ko hasil kabhi qarar nahin
rahaton ka to zikr hi kya hai
gham bhi duniya mein paedar nahin
log duniya ke KHud-gharaz hain 'karan'
ye kisi ke bhi gham-gusar nahin
Ghazal
Kisi shai par bhi iKHtiyar nahin
Karan Singh Karan