kisi se wasl mein sunte hi jaan sukh gai
chalo haTo bhi hamari zaban sukh gai
ek aah-e-garm ne jhulsae KHosha-e-anjum
tamam kheti teri aasman sukh gai
qayamat aur wo hangama phir qayamat ka
lahad se uThte hi dhaDkon se jaan sukh gai
raha na baad mere hae koi aabla-pa
pukarte hain ye kanTe zaban sukh gai
shab-e-firaq ka aadha nahin raha tan-o-tosh
ye mere ghar jo hui mehman sukh gai
mila bhi hum ko to be-waqt is tarah khana
ki chawal ainTh gae aur nan sukh gai
bahut hi phuli hui thi ye apni rangat par
jo dekha rang mera zafran sukh gai
hawa-e-garm KHizan mein wo rang-o-rup kahan
thi andalib yunhi dhan-pan sukh gai
'riyaz' yaad hai un ka visal mein kahna
KHuda ke waste chhoDo zaban sukh gai
Ghazal
Kisi se wasl mein sunte hi jaan sukh gai
Riyaz Khairabadi