kisi se wada-o-paiman bhi nahin mera
yahan se lauTna aasan bhi nahin mera
main laKHt laKHt hua aasman se laDte hue
magar ye KHak pe ehsan bhi nahin mera
main sirf apni hirasat mein din guzarta hun
mere siwa koi zindan bhi nahin mera
sukut-e-shab mein teri chashm-e-nim-wa ke siwa
koi charagh nigahban bhi nahin mera
dhari hui koi ummid bhi nahin mere pas
khula hua dar-e-imkan bhi nahin mera
ye kis ke bojh ne mujh ko thaka diya ki yahan
ba-juz-dua koi saman bhi nahin mera
main us ki ruh mein utra hua hun aur 'shahzad'
kamal ye hai use dhyan bhi nahin mera
Ghazal
Kisi se wada-o-paiman bhi nahin mera
Qamar Raza Shahzad