kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe
na jaane rahta hai phir kis ka intizar mujhe
har ek sans meri umr ko ghaTati hai
nafas ka tar hai goya kafan ka tar mujhe
meri bahaar ko mausam ka intizar nahin
koi jo hans ke mila mil gai bahaar mujhe
na be-qarar ho tu meri be-qarari par
taDap taDap ke KHud aa jaega qarar mujhe
ye dil ka aaina ab toDne ke qabil hai
dikhai deta nahin us mein ru-e-yar mujhe
kisi ke husn ki main ne bahaar dekhi hai
chaman ke phul dikhate hain kya bahaar mujhe
ye KHud-farebi hai meri ki KHud-faramoshi
na aane wale ka rahta hai intizar mujhe
mere wajud se harakat to hai zamane mein
agarche mauj ki surat nahin qarar mujhe
mere chaman hi se wabastagi hai donon ki
aziz kyun na hon phulon ke sath KHar mujhe
'jigar' ke KHun se aankhon mein surKH Dore hain
samajh raha hai zamana sharab-KHwar mujhe
Ghazal
Kisi se rabt nahin hai kisi se pyar mujhe
Jigar Jalandhari