اردو हिंदी
Kisi se raaz-e-dil kahna ye KHu ruswa karaati hai | Shaahi Shayari
kisi se raaz-e-dil kahna ye KHu ruswa karaati hai

Ghazal

Kisi se raaz-e-dil kahna ye KHu ruswa karaati hai

Monika Singh

;

kisi se raaz-e-dil kahna ye KHu ruswa karaati hai
teri ye baat tanhai mein paiham yaad aati hai

ki hans ke Talte hain zikr tera koi gar chhoDe
saba phir bhi guzishta raaton ke qisse sunati hai

na jaane saKHt kyun hai dil tera hairat si hoti hai
talab paigham ki tere mujhe aksar rulati hai

bulandi pe agar wo hai to itni be-ruKHi kyun kar
mohabbat mein kashish aisi jo duri ko miTati hai

mere barbaad hone ka na kar charcha jahan se tu
unhin qisson se aksar bu tere hone ki aati hai