kisi se puchhen kaun batae kis ne mahshar dekha hai
chup chup hai aaina jis ne sara manzar dekha hai
manzil manzil chal kar jab bhi aai lahu mein Dubi raat
aahaT aahaT qatl hua hai qadmon mein sar dekha hai
tu hi bata ruKHsar pe us ke kitne til hain kitne dagh
tu ne to ai dida-e-bina phul ko patthar dekha hai
mahfil mahfil jis ke charche gulshan gulshan jai-jai-kar
hum ne usi ke hath mein yaro aksar KHanjar dekha hai
larzan tarsan bar-sar-e-mizhgan KHun ke aansu hain 'tariq'
sham-e-farozan shahr mein le kar KHuni manzar dekha hai

Ghazal
Kisi se puchhen kaun batae kis ne mahshar dekha hai
Shamim Tariq