kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae
siyah dasht KHar se kahan do-chaar ho gae
ki shauq-e-pairahan tamam tar tar ho gae
yahan jo dil mein dagh tha wahi to ek charagh tha
wo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae
aziz kyun na jaan se ho shikast-e-aina hamein
wahan to ek aks tha yahan hazar ho gae
hamein to ek umr se paDi hai apni jaan ki
abhi jo sahilon pe the kahan se par ho gae
Ghazal
Kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
Ahmad Mahfuz