اردو हिंदी
Kisi se ishq karna aur isko ba-KHabar karna | Shaahi Shayari
kisi se ishq karna aur isko ba-KHabar karna

Ghazal

Kisi se ishq karna aur isko ba-KHabar karna

Abbas Ali Khan Bekhud

;

kisi se ishq karna aur is ko ba-KHabar karna
hai apne matlab-e-dushwar ko dushwar-tar karna

nahin hai maut par kuchh iKHtiyar ai wa-e-majburi
ummid-e-marg mein mushkil basar karna magar karna

jo par the maya-e-parwaz mein wajh-e-giranbari
ghurur-e-baal-o-par karna to mujh ko dekh kar karna

jafa kar shauq se tu zabt par mere na ja hargiz
shikayat kya mujhe ye kaam hai jab umr bhar karna

jafa un ki wafa-parwar wafa meri jafa-parwar
wo un ko umr-bhar karna ye mujh ko umr-bhar karna

sar-e-rah puchhte hain haal kya kahiye ki mushkil hai
bayan-e-dard-e-dil karna aur is ko muKHtasar karna

tawajjoh chaara-gar ki bais-e-taklif hai 'beKHud'
izafa hai musibat mein dawaon ka asar karna