kisi se aur to kya guftugu karen dil ki
ki raat sun na sake hum bhi dhaDkanen dil ki
magar ye baat KHirad ki samajh mein aa na saki
visal-o-hijr se aage hain manzilen dil ki
jilau mein KHwab-numa rat-jage sajae hue
kahan kahan liye phirti hain wahshaten dil ki
nigah milte hi rang-e-haya ki surat hain
chhalak uThin tere ruKH se latafaten dil ki
nigah-e-kam bhi use sang se ziyaada hai
ki aaine se siwa hain nazakaten dil ki
dayar-e-harf-o-nawa mein koi to aisa ho
kabhi kisi se to hum baat kar saken dil ki
sar-e-jarida-e-hasti hamare baad 'umid'
lahu se kaun likhega ibaraten dil ki

Ghazal
Kisi se aur to kya guftugu karen dil ki
Ummeed Fazli