kisi sabab se agar bolta nahin hun main
to yun nahin ki tujhe sochta nahin hun main
main tum ko KHud se juda kar ke kis tarah dekhun
ki main bhi tum hun, koi dusra nahin hun main
to ye bhi tai! ki bichhaD kar bhi log jite hain
main ji raha hun! agarche jiya nahin hun main
kisi mein koi baDa-pan mujhe dikhai na de
KHuda ka shukr ki itna baDa nahin hun main
meri uThan ki har inT main ne rakkhi hai
main KHud bana hun! banaya hua nahin hun main
yahan jo aaega wo KHud ko haar jaega
qimar-KHana-e-jaan mein naya nahin hun main
mere wajud ke andar mujhe talash na kar
ki is makan mein aksar raha nahin hun main
main ek umr se KHud ko talashta hun magar
mujhe yaqin nahin, hun bhi ya nahin hun main
main ek guman ka imkan hun 'iftiKHar'-mughal
ki ho to sakta hun lekin hua nahin hun main
Ghazal
Kisi sabab se agar bolta nahin hun main
Iftikhar Mughal