kisi rut mein jab muskuraata hai tu
numu pattharon mein jagata hai tu
tera shoala-e-nutq ruh-e-rawan
ufuq-ta-ufuq phail jata hai tu
kabhi kholta hai samundar ke raaz
kabhi ek qatra chhupata hai tu
kabhi gharq kar de safine hazar
kabhi ek kashti taraata hai tu
kabhi phunk de wadi-e-gul tamam
kabhi aag mein gul khilata hai tu
kabhi sharh-e-la-taqnatu ke liye
sarabon mein dariya bahata hai tu
gawara nahin tujh ko viraniyan
KHarabon ko phir se basata hai tu
siyah saKHt maujon ke aaseb mein
jazire dhanak rang ugata hai tu
tere izn se andhi aaankhon mein nur
kabhi KHak mein ram jagata hai tu
kiran bhej kar ek zulmat ki
shahanshahon ko zalzalata hai tu
ujalon mein hain teri ranginiyan
andheron mein shamen jalata hai tu

Ghazal
Kisi rut mein jab muskuraata hai tu
Saleem Shahzad