اردو हिंदी
Kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi | Shaahi Shayari
kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi

Ghazal

Kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi

Sudarshan Faakhir

;

kisi ranjish ko hawa do ki main zinda hun abhi
mujh ko ehsas dila do ki main zinda hun abhi

mere rukte hi meri sansen bhi ruk jaengi
fasle aur baDha do ki main zinda hun abhi

zahr pine ki to aadat thi zamane walo
ab koi aur dawa do ki main zinda hun abhi

chalti rahon mein yunhi aankh lagi hai 'fakir'
bhiD logon ki haTa do ki main zinda hun abhi