اردو हिंदी
Kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun | Shaahi Shayari
kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun

Ghazal

Kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun

Dheerendra Singh Faiyaz

;

kisi qalam se kisi ki zaban se chalta hun
main tir kis ka hun kis ki kaman se chalta hun

main thak gaya hun Thahar kar kisi samundar sa
ba-rang-e-abr tere aastan se chalta hun

tu chhoD dega adhura mujhe kahani mein
isi liye main teri dastan se chalta hun

jo mere sine ke baen taraf dhaDakta hai
usi ke naqsh-e-qadam par wahan se chalta hun

agarche chaho to logon ko beach le aana
main aaj apne tere darmiyan se chalta hun