اردو हिंदी
Kisi parinde ne uDne ka man banaya hai | Shaahi Shayari
kisi parinde ne uDne ka man banaya hai

Ghazal

Kisi parinde ne uDne ka man banaya hai

Aradhana Prasad

;

kisi parinde ne uDne ka man banaya hai
wo koi aur nahin mera hi to saya hai

zamin ki muTThi mein jaise ho aasman koi
ghazab ka reshmi ehsas koi laya hai

gulon mein shoKH gulabi tumhin ne rang bhare
chale bhi aao ke gulshan ne ab bulaya hai

ye mera ganw har ek rose yun damakne laga
ke jugnuon ne yahan aashiyan banaya hai

nae se KHwab chura lun hasin lamhon se
yun shabnami si kisi raat ne sulaya hai

bhara bhara sa hi rahta hai ye mera man ab
mizaj waqt ne tujh se ye KHub paya hai

milo kabhi bhi jo fursat mein to ye puchhenge
yun mere chand ko mujh se hi kyun churaya hai