اردو हिंदी
Kisi ne raat kaha uski dekh kar surat | Shaahi Shayari
kisi ne raat kaha uski dekh kar surat

Ghazal

Kisi ne raat kaha uski dekh kar surat

Nazeer Akbarabadi

;

kisi ne raat kaha us ki dekh kar surat
ki main ghulam hun is shakl ka bahar-surat

hain aaine ke bhi kya talea ab sikandar wah
ki us nigar ki dekhe hai har sahar surat

ajab bahaar hui kal to waqt-e-nazzara
jo main idhar ko hua us ne ki udhar surat

udhar ko jab main gaya us ne li idhar ko pher
phira main us ne firai jidhar jidhar surat

hazaron phurtiyan main ne to kin par us ne 'nazir'
na dekhne di mujhe apni aankh-bhar surat