kisi ne puchha jo umr-e-rawan ke bare mein
to kya bataenge sud-o-ziyan ke bare mein
harim-e-dida-wari KHak uD rahi hai meri
main jaanti thi ghubar-e-makan ke bare mein
na-jaane kaisi guzarti hai jaane walon par
koi batata nahin raftagan ke bare mein
dua karo ki salamat rahe mera pindar
zamin pe sochti hun aasman ke bare mein
na-jaane kitne harifon ke nam yaad aae
main likh rahi thi saf-e-dostan ke bare mein
har ek qisse pe dil apna tham tham liya
jo waqiat sune dastan ke bare mein
yaqin kar ki abhi tak hai dil ko tujh pe yaqin
ye husn-e-zan hai kisi bad-guman ke bare mein
fareb-e-sada-dili dekh us sitamgar ne
bayan raaz kiya raaz-dan ke bare mein
Ghazal
Kisi ne puchha jo umr-e-rawan ke bare mein
Tasneem Abidi