kisi ne ba-wafa samjha kisi ne bewafa samjha
mujhe ghairon ne kya samjha mujhe apnon ne kya samjha
gham-e-paiham hui sabit jise main ne baqa samjha
hayat-e-jawidan nikli jise main ne qaza samjha
ghalat samjha zamane mein tujhe dard-ashna samjha
meri nazron ka dhoka tha main patthar ko KHuda samjha
wafa ki rah mein khae hain aise bhi kabhi dhoke
wo zalim ibtida nikli jise main intiha samjha
use dil ka junun kahiye ki meri sadgi kahiye
main har ek rahguzar ko aaj us ka naqsh-e-pa samjha
bahut mumkin tha maujon se meri kashti nikal aati
magar wo rahzan nikla jise main naKHuda samjha
rah-e-ulfat mein aise bhi 'kanwal' aksar maqam aae
jahan har dil ki dhaDkan ko main apni hi sada samjha
Ghazal
Kisi ne ba-wafa samjha kisi ne bewafa samjha
D. Raj Kanwal