kisi mein tab na thi tohmaten uThane ki
jale charagh to palken jhukin zamane ki
jise bhi dekhiye apni ana ka mara hai
umid kis se rakhe koi dad pane ki
teri gali mein bhi dar-o-rasan ka charcha hai
badal gai hai hawa kis qadar zamane ki
charagh-e-kushta ki manind nauha-KHwan ye log
bane hain surKHi-e-aghaz kis fasane ki
larazte hathon mein saz-e-shikasta kis ne liya
ki jaise Dub gai nabz ek zamane ki
fasana sharh-talab is qadar na tha lekin
kahan kahan na uDi KHak aashiyane ki
kuchh aur ho gae 'shahin' zaKHm-e-dil taza
wo meri sai-e-pareshan unhen bhulane ki
Ghazal
Kisi mein tab na thi tohmaten uThane ki
Wali Alam Shaheen