اردو हिंदी
Kisi mein tab-e-alam nahin hai kisi mein soz-e-wafa nahin hai | Shaahi Shayari
kisi mein tab-e-alam nahin hai kisi mein soz-e-wafa nahin hai

Ghazal

Kisi mein tab-e-alam nahin hai kisi mein soz-e-wafa nahin hai

Sufi Tabassum

;

kisi mein tab-e-alam nahin hai kisi mein soz-e-wafa nahin hai
sunaen kis ko hikayat-e-gham ki koi dard-ashna nahin hai

hum inqalab-e-falak ke hathon bahut satae hue hain ya-rab
ye nala-e-be-kasi hamara shikayat-e-narawa nahin hai

hujum-e-waraftagi ke hathon jo jaan chali to khula ye uqda
ki tar-o-paud--eKHayal-e-dilbar se rishta-e-jaan juda nahin hai

kal us but-e-ba-wafa se mil kar jo aur betab ho gaya dil
hua ye zahir ki ranj-o-gham ki jahan mein koi dawa nahin hai

yahi hai ab aarzu 'tabassum' ki dam nikal jae aah karte
ki tab-e-izhaar-e-ulfat-e-yar shewa-e-ashna nahin hai