kisi mausam ki wo baaten jo teri yaad karta hun
unhin baaton ko phir phir kah dil apna shad karta hun
nahin malum mujh par bhi ye ahwal apni zari ka
ki main misl-e-jaras kis ke liye fariyaad karta hun
ye dil kuchh aaphi ho jata hai band aur aaphi khulta hai
na main qaid is ko karta hun na main aazad karta hun
jigar jal kar hua hai KHak aur tis par main aahon se
jo kuchh baqi rahe hai gard so barbaad karta hun
ghubar-e-dil ko aab-e-tegh se us ke mila kar main
nae sar se imarat dil ki phir buniyaad karta hun
mere aabaad dil ko kar KHarab us ne kaha hans hans
ki main is mulk ka nam ab KHarab-abaad karta hun
kabhi tere bhi dil mein ye guzarti hai ki main nahaq
bhala dil par 'hasan' ke itni kyun be-dad karta hun
Ghazal
Kisi mausam ki wo baaten jo teri yaad karta hun
Meer Hasan