kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja
ki guzar gai shab aadhi dil-e-be-qarar so ja
ye nasim ThanDi ThanDi ye hawa ke sard jhonke
tujhe de rahe hain lori mere gham-gusar so ja
ye teri sada-e-nala mujhe muttahim na kar de
mere parda-dar so ja mere raaz-dar so ja
mujhe KHun rula raha hai tera dam-ba-dam taDapna
tere gham mein aah kab se main hun ashk-bar so ja
abhi dhan-pan hai to nahin aashiqi ke qabil
ye tapish ka aah shewa na kar iKHtiyar so ja
na taDap zamin pe zalim tujhe god mein uTha lun
tujhe sine se laga lun tujhe kar lun pyar so ja
tujhe jin ka hai tasawwur are mast-e-jam-e-ulfat
unhin ankhDiyon ke sadqe mere baada-KHwar so ja
tujhe pahla sabiqa hai shab-e-gham buri bala hai
kahin mar-miTe na zalim dil-e-be-qarar so ja
Ghazal
Kisi mast-e-KHwab ka hai abas intizar so ja
Suroor Jahanabadi