اردو हिंदी
Kisi marqad ka hi zewar ho jaen | Shaahi Shayari
kisi marqad ka hi zewar ho jaen

Ghazal

Kisi marqad ka hi zewar ho jaen

Ram Riyaz

;

kisi marqad ka hi zewar ho jaen
phul ho jaen ki patthar ho jaen

KHushkiyan hum se kinara kar len
tum agar chaho samundar ho jaen

tu ne munh phera to hum aise lage
jis tarah aadmi be-ghar ho jaen

ye sitare ye samundar ye pahaD
kis tarah log barabar ho jaen

apna haq log kahan chhoDte hain
dost ban jaen baradar ho jaen

aamad-e-shab ka ye matlab hoga
'ram' kuchh chehre ujagar ho jaen