kisi maqam pe hum ko bhi rokta koi
magar uDae liye jati hai hawa koi
tamam-umr na mujh ko mila wajud mera
tamam-umr mujhe sochta raha koi
mujhe sameT lo ya phir uDa ke le jao
ye kah ke rah-e-talab mein bikhar gaya koi
yunhi sadaen na do KHamushi ke sahra mein
hawa chalegi to aa jaegi sada koi
kisi ko apni nigahon pe eatibar na tha
hamein hamari tarah kaise dekhta koi
hazar sang hain rahon mein ab bhi soe hue
ye aur baat hai hum ko jaga gaya koi
badan ke dasht ko hum jis se par kar lete
kahin mila na hamein aisa rasta koi
main band kamre mein KHamosh rah to sakta hun
mere badan mein agar ghuT ke mar gaya koi
Ghazal
Kisi maqam pe hum ko bhi rokta koi
Abid Almi