kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar
chalo dekhen kisi patthar mein ja kar
ghane jangal ne mujh par raaz khola
nikal jata hai har Dar Dar mein ja kar
KHud apni zat ho jati hai madum
KHud apni zat ke jauhar mein ja kar
mere dil ki tamanna ban gaya hai
wo chehra meri chashm-e-tar mein ja kar
simaT jate hain mere sath mujh mein
mere panw meri chadar mein ja kar
tahayyur-KHez thi us ki fasahat
wo jab bhi chup hua mimbar mein ja kar
ye zinda shahr hai to kaise 'zahid'
main mar jata hun apne ghar mein ja kar
Ghazal
Kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar
Zahid Shamsi